
avita ek ehsaas hai, sirf shabd nahi. Is blog me janiye ‘Kavita kya hai?’ – uske prakar jaise Doha, Chaupai, Ghazal, Nazm, uski khoobsurti aur aaj ke digital yug me uska mahatva. Roman Hindi me padhiye.
Kavita kitne trah ki hai?
Kavita kai roopon mein likhi ja sakti hai. Kuch pramukh prakar ke yeh hain:
1. Mukt Kavita (Free Verse)
- Bina kisi fix chhand ya rhyme ke likhi jaati hai
- Aaj ke samay mein bahut popular hai
- Jazbaat sidhe aur raw hote hain
- Bina kisi fix chhand ya rhyme ke likhi jaati hai
- Aaj ke samay mein bahut popular hai
- Jazbaat sidhe aur raw hote hain
“Aankhon mein kuch baaki tha,
Ya sapno mein shaadi reh gayi thi”
2. Chhandobaddh Kavita (छंदोबद्ध कविता)
- Purane samay ki rachnaayein
- Har pankti mein ek taal aur lay hoti hai
- Bharatiya kavya mein iska gahra yogdaan hai
3. Doha, Chaupai, Ghazal, Nazm –
- Yeh sab bhi kavita ke roop hain
- Har ek ka apna ek alag style aur structure hota hai
Kavita Kyu Zaroori Hai?
Aaj ke daur mein jab social media aur tez zindagi ne hume thoda thaka diya hai, kavita ek aisi jagah ban gayi hai jahan hum ruk kar apne andar jhaank sakte hain.
➤ Dil se Dil Tak:
Kavita aise jazbaat vyakt karti hai jo kabhi shabdon mein kehna mushkil hota hai.
➤ Samaaj Ka Aaina:
Kabhi deshbhakti, kabhi mahilaon ki awaaz, kabhi samajik muddon ko chhooti hai kavita.
Apna Pan:
Aaj ke yuva bhi apne rishte, pyaar, break-up, depression — sab kuch kavita ke roop mein likh rahe hain.
Aaj Ke Digital Yug Mein Kavita
Aaj kal log Instagram poetry, YouTube shayari, aur WhatsApp status ke zariye kavita likh rahe hain. Kavita aaj bhi relevant hai – shaayad pehle se bhi zyada.
Blogs jaise Kavitawala.com kavita ko ek manch dete hain:
- Log apne jazba likhte hain
- Doosron ke anubhav padhkar unse judte hain
- Kavita ban gayi hai ek online emotion exchange
Antim Shabd: Kavita Ek Jazba Hai
Kavita likhna ek safar hai. Kabhi aansuon se guzarta hai, kabhi muskaanon se. Kavita likhna apne aap se milna hai. Aur kavita padhna – woh kisi aur ki rooh mein jhaankne jaisa hai.
Toh likhiye, padhiye aur jeeyein — kyunki har dil mein ek kavita hoti hai.
Hi, this is a comment.
To get started with moderating, editing, and deleting comments, please visit the Comments screen in the dashboard.
Commenter avatars come from Gravatar.